Aadhaar card me sudhaar karna seekhe apne mobile se.
Bina RTO ke Driving License kaise banate hain ? is episode me iska poora process bataya hai. ab aapko DL banwane ke liye RTO nahi jana hoga, aap ghar baithe kushi hi bana sakte hain. Watch full episode.
Aaj is episode me aap seekhenge ki 5 minute me pan card kaise banaye? is episode me Instantly pan card ko mobile se banane ka compalete process bataya hai. Dekho, seekho aur paisa kamao.
Is episode me hamne bataya hai ki mobile se ghar baithe tatkal ticket kaise book karte hain aur irctc app par kaise registration karte hain.
Ab sabka hoga bijli bill zero, is episode me hamne bataya hai ki kaise aap apne bijli bill ko zero kar sakte hain, Sarkar ki PM surya Ghar Bijili Yojna ke tahat aap solar system ghar ki chat par laga kar sarkar se 78000 ki subsidy bhi le sakte hain aur bijli ke bill ko zero kijiye.
Is episode me hamne bataya hai ki aap ghar baithe bilkul easy process ke through apne mobile phone se aadhaar card kaise download kar sakte hain ?
Agar aapka abhi tak ration card nahi bana hai to ab aap ghar baithe hi ration card bana sakte hain. is episode ko poora dekhiye aur ration card bana lijiye.
Is episode me hamne bataya hai ki ghar baithe janam praman patra kaise banate hain. To deekhiye ye episode end tak or jaaniye iska pura process.
Is episode me hamne bataya hai ki sbi saving bank par 50000 rupee ka e mudra loan kaise le sakte hain? so please watch this episode till the end.
Aaj ke is episode me hamne bataya hai ghar baithe aadhaar card me mobile number kaise link karte hain ? agar aapka number abhi tak aadhaar card link nahi hai to is episode ko poora dekhiye.
Jaaniye ek dum basic se kaise aap apna youtube channel shuru kar sakte hain wo bhi ek dum practical tarike se!
Mene is episode me detail me ye guide kiya hai ki aap aapke youtube channel par kis tarike se bahut hi fast subscribers badha sakte hai !
Iss episode me bataya gaya hai youtube se aane wali income ke puri detail ke baare me to puri video dekhe end tak.
Aaj hum seekhege ki kaise apna new youtube channel banana hai. Jaaniye ek youtube channel banane ke liye aap ko kis chiz ki requirement hogi, kaise logo and banner banega. Episode end tak dekhe or jaaniye sab baate sirf kuch waqt me..
Aaj ke episode mein hum seekhenge ke aap Youtube video se Ai video bana kaise bana sakte ho aur bo bhi Free mein aur AI ki help se..
Ek video ne 24 hours me 1.4 billion views hasil kiye, lekin phir bhi world record nahi bana paya! Kaise hua yeh sab? Aur kya tha is video ke peeche ka sach? End tak dekhna, kyunki iss story ke baad ek aisa secret share karunga jo har YouTuber ko pata hona chahiye! Don't miss it.
Aaj ke Episode mein hum seekhenge ke aap AI se kids song Video kaise bana kar unko viral kar sakte hai.To episode dekhe end tak.
Aj aap janenge ki hum apni shorts ko kaise Viral bana sakte hain wo bhi kuch aasan tips ke sath. Is episode ke tips ko aap easily use kar sakte ho aur apni shorts ko viral kar sakte ho!!
Is episode me mene youtube shorts ke 2 aise update bataye hai jo bahut hi shaandar hai aur aap sab ke bahut kaam aane wale hai
Aaj ke Episode mein hum seekhenge ke kaise aap AI se movie scene bana kar usse apne YouTube channel ke liye use kar sakte ho …
Meesho se part time income kaise kar sakte ho humne is episode me bataya hai...
Is Seekho Series mein sikhenge kaise aap chhoti videos ki editing se online earning kar sakte hain. Jaaniye kaunsi tools ka istemal karein, kaise creative aur engaging content banayein, aur kaunsi platforms par apni services ko list karein. Ab apne editing skills ko profit mein badalne ka raasta aasan hai. Aaiye, sikhein kaise shorts editing se earning ka mazaa uthayein.
Is video series mein sikhein kaise aap engaging aur viral Facebook clips banakar online income generate kar sakte hain. Jaaniye kaunsi content ideas kaam karti hain, kaise clips ko edit karein, aur audience ko kaise attract karein. Ab apni creativity se nahi sirf entertainment, balki earning bhi badhao. Dekhein aur sikhein, Facebook Clips Banao Paise Kamao ka mantra!
Wintub ek watch video & earn platform hai jahan par ek ek video dekhne ka 10rs-60rs milta hai, is episode me humne iski aur isse hone wali video dekhkar kamai ki reality batayi hai !
Aaj ek unique tarika laye hai online earning ka jisse aap Paytm service Agent banke paise kama sakte hai Kya hai ye tarika, kaise apply karna hai , kitni kamai hogi sab janege is series me!!
Video dekhte dekhte paise kamane k liye ye series dekhe
Jaano anokhe tareeke har mahine ghar baithe paise kamane ke.
Is episode me humne mobile Dtein Se free me hone wali earning ka review Kiya hai aur iski reality batayi hai...
Frizza ek kaafi simple earning app hai jahan se paise kamane ke kai sare options milte hain, is episode humne frizza app post-mortem Kiya hai aur bataya hai ki kya aapko frizza app se paise kamana chahiye, kitna trusted hai, kitna tak kama sakte ho aap yahan se etc
Is episode me humne Ludo Rewards app ka review Kiya hai aur bataya hai ki kya aapko is app se earning karna chahiye.
Is Episode me aap ko btaya gaya hai ki kaise aap apne followers increase kr skte hai Instagram ke secret trick ko use krke.Jaaniye konsi hai wo trick or kaise use karni hai to video dekhe end tak.
Is Episode me apko janne ko milega ki aap Instagram se Kaise Paisa Kamaskte ho or kon kon se Earning ke methods se mai paise kama rha hu.
Is Episode me apko janne ko milega ki kaise aap Story Reel Videos banaskte ho vobhi AI ke madad se jisse aap Instagram me upload krke views gain krskte ho.
Janiye Kaise Apni Reels Ko Viral Banayein. Reel video ko viral banane ke liye kuch chhupi hui settings aur techniques ko explore karein. Apne Reels ko audience tak pahunchane aur zyada views aur engagement paane ke raaz ko samjhein.
Iss episode mein hum aapko dikhayenge kaise aap Simple Photo ko use karke ek awesome aur creative story bana sakte hain. Step-by-step guide ke saath, tips aur tricks share ki jayegi!
Sky Drop effect se hongi ab reels viral. Jaaniye Viral Reel Ideas ke is episode me is effect ko kaise edit kar skte hain.
Janiye kaise Aap 1 million views pa sakte hai apni reels par is episode me!
Iss episode mein hum aapko dikhayenge kaise aap Favorite Song ke liye ek awesome aur creative story bana sakte hain. Step-by-step guide ke saath, tips aur tricks share ki jayegi!
Is Episode me maine apko btaya hai Instagram ke Refer and Earn ke bareme jiske madat se aap kam followers me bhi acha earning generate kr sakte hai.To jaaniye kaise aap ye sab kar sakte hai and konse application hai jisko aap refer kar ke earn kar sakte hai.
Instagram me viral hona sab log chahte hai par ho nahi paate. Aaj ke is episode me humne bataye hai kuch aise tips jisko follow kar ke aap 100% viral ho sakte hai jaaniye kya hai viral hone ke secrets.
Aj hum apko bataenge ki kaunsa trading app apke liye best hai. Sabse zyada trusted broker kaunsa hai, broker ke kitne types hote hai, kya kya charges hai different broker apps ke sab kuch janege is series me!!
Agar aap stock market me naye naye hain aur aapko jyada jaankari nahi hai to is series me kuchh basic terms batayi gayi hain jo aapko share market me aage badhne me madad karengi. Isme ye bhi bataya gaya hai ki aapko stock lena chahiye ya Index.
Is series mein m aapke sath intraday mein option buy krne ke kuch secret share karunga jo aapki ek profitable trader banne me madad krenge. Sath hi aap is strategy se stock market me paise lgayenge to ek achha profit kama sakte hain.
Stock market se paisa banane ke liye basic rule ke bare me pata hona zaroori hota hai. Market hour aur weekly expiry ka matlab same nhi hota hai. Aaj ke episode me hum iske bare mein janne wale hain.
Stock market se paisa kamane ke liye share buy and sell karna jaruri hota hai. Aaj hum iske bare me step by step Seekhane wale hain.
Best penny stock khojna kafi aasan hota hai. Uske liye bas kuchh tarika follow karna hota hai. Aaj hum iske bare me hi batayenge.
Is Series mein explore karein kaun-kaun se sectors hain jo aapke investment ke liye promising ho sakte hain. Jaaniye kaunsi industries hain jo future mein growth potential rakhti hain, aur kaise aap apne financial goals ko achieve karne ke liye smart investment decisions le sakte hain. Aaiye, samjhein kaise Kaun Se Sector Me Karein Invest aapko financial success ki aur le ja sakta hai!
kaise aap Expiry Day Trading ka istemal karke stock market mein trade karein. Jaaniye kya hota hai expiry day, kaise plan karein trades ko, aur kaunsi strategies use karein market volatility ke sath deal karne ke liye. Ab apne trading game ko next level par lekar profit kamayein. Aaiye, samjhein kaise Expiry Day Trading ka master ban sakte hain!
Aaj aise stocks ki list niklana seekhane wala hu jisne 1 saal mein 1000% se adhik ka return diya hai. Kuchh stocks to 20-30X return de chuke hain.
Share Kharidane ke liye agar aap best stock with target price talash kar rahe hain to ye episode aapke liye hai. Ismein hum stock list with target price batane wale hain.
Aaj ke episode me hum seekhege ki kaise aap hindi words/sentence ko english me convert kar sakte bhott asani se.
Aaj ke video me humne bataye kuch aise tarike jisse use kar ke aap ghar baithe english bolna seekh sakte hai to jaaniye konse hai wo tarike aaj ki video me.
Is episode me english bolne ki ek aisi trick batayi gayi hai jisko seekhke aap Filmstars ke jaise english bol sakte hain.
Is episode mein, simple aur easy English mein daily routine ko samjhaya gaya hai ki kaise aap roz ke kaam english seekh sakte hain.
Is episode mein hum simple aur aasan tarike seekhenge, jisse aap confidently apna parichay de sakte hain. Aapko kuch basic phrases aur tips milenge jo aapko alag-alag situations mein madad karenge, chahe woh interview ho ya new friends se milna.
Aaj ke episode me aap ko seekhne ko milege kuch aise advance english sentences jisse aap use kar ke apni basic english ko advance me convert kar sakte hai.To dekhiye video end tak.
Aaj ke episode me humne seekhaye kuch aise khas rule jisko seekh kar aap english me spelling mistake nahi karoge.To konse hai wo khas rule jaaniye ke liye dekhiye episode end tak.
Agar aap English bolna chahte hain to ye 5 tips aapke bahut kaam aayenge jo aapko spoken english me bahut madad karenge. Ye konse tips hain? jaaniye aaj ke is episode mein.
Aaj ke episode me hum seekhege whatsapp par jo emoji hote hai unka english me kya matlab hota hai.
Iss episode me seekhege ki kaise aap fluently english bol sakoge. To video end tak dekhe.
Delhivery Ki Franchise leke kaise kamaye har mhine 50,000 rupay? Investment, eligibility aur setup process ki complete details simple language me samajhne ke liye is episode ko pura dekhein!!
Iss video me aap log seekhenge carpet ke business ke baare main jo ki one of most profitable and successful product in e-commerce.
Lenskart Ki Franchise leke kaise kamaye har saal 8.5 Lakh rupay? Investment, eligibility aur setup process ki complete details simple language me samajhne ke liye is episode ko pura dekhein!!
Rubber daily life me use hone wala item hai jiska business lifetime profitable rahega
Is episode me humne aapko kuch aise website bataya hai jissey aap trending product dhundh sakte ho aur us product ko sell karke Lakho me kama sakte ho.
Amazon Ki Delivery Franchise leke kaise kamaye har saal 19 Lakh se 38 Lakh rupay? Investment, eligibility aur setup process ki complete details simple language me samajhne ke liye is episode ko pura dekhein!!
Balloon decoration business ko sirf Rs.1200/- se start kar sakte hai aur har mahine Rs.30000/- se bhi jada kama sakte ho.
Kaise sirf 3-4 lakh rupay mai aap Dr, Lalpathlabs ki franchise le skte ho? Investment, eligibility aur setup process ki complete details simple language me samajhne ke liye is episode ko pura dekhein!!
Is video me humne Alibaba se Import karna sikhaya hai aur usi ke sath aapko kya kya document chahiye wo bhi samjhaya hai.
Iss Video se aap log seekhege ki sunglasses ko online kaise sell kiya jata hai or kaise is business ko grow kar ke lakho rupees kama sakte hai.
Agar aap swiggy se bilkul free me khana order karna chahte hain to ye video jarur dekhiyega kyoki is video me humne 1 aisi mast wali trick share ki hai jisse aapko bilkul free me swiggy se khana mil jaayega. To stay connected.
Agar aap bhi PVR jaise cinema hall me movies dekhna chahte ho to ye trick aapke bahut kaam aane wali hai kyoki is trick se aap 1 ticket price me poori 4 movies dekh sakte ho. Ab ye sab karna kaise hai??? iske liye is video ko bina skip kiye dekh lijiyega taaki saari cheezein aapko clear ho jaaye.
Is video me humne 1 aisa hack share kiya hai jisse aap badi aasani se 200rs tak ka petrol bilkul free me le sakte ho. Ab ye lena kaise hai?? To iske liye aapko ye video poori dekhni padegi. To stay connected.
Agar aap bhi Movies dekhne ke shaukeen hain to ye video aapke liye bahut useful hone wali hai. Kyoki is video me humne 1 aisi trick share ki hai jiski help se aapko free movie tickets mil sakte hain. To watch full video for all details.
Agar kabhi bhi aapki upi id kaam karna band kar de ya error show hone lage to ab aapko chinta nahi karni hai kyoki ab aap bas 1-2 minute me apne liye kai saari nayi upi id bana sakte ho. Ab banani kaise hain iske liye ye video dekh lijiye sab clear ho jaayega.
Agar aap bhi bahar se khana order kar ke khaane ke shaukeen hain to ye video aapke bahut kaam aane wali hai kyoki isme humne 1 aisi trick share ki hai jiski help se aap zomato, swiggy se bhi sasta khana order kar sakte ho. So, watch this video for more details.
Ye video har kisi ke liye bahut jyada useful hone wali hai kyoki is video me humne Amazon shopping ki kuch secret discount tricks share ki hain jo kaafi saare logo ko nahi pata hain. To video ko thoda dhyaan se dekhiyega taaki kuch miss na ho jaaye.
Is video me humne 1 khatarnaak wali trick share ki hai jisse aap badi aasani se pata kar sakte ho ki Zepto, Blinkit, Indiamart in sabhi me se sabse sasta kaun hai. To stay connected.
Ab aap koi bhi trip kar sakte ho wo bhi at Rupees 0. MMT ne 1 aisa feature launch kiya hai jiski help se aap bina kisi tension ke bina paisa ke aaram se travel kar sakte ho. Ab ye karna kaise hai, kya kya terms & coditions hain hum is video me sab kuch deeply discuss kar chuke hain. To video ko aap thoda gaur se dekh lijiyega.
Ab aap udti flight me bhi apne smartphone me internet use kar sakte ho. Shayad aapko ye baat sunne me weird lage but yahi sach hai. Bas aapko ye wali video thoda dhyaan se dekhni hai..... fir aap bhi badi aasani se udte baadlo me apne phone ka data use kar paaoge.
Aaj ki video mein aap ko ek aisi Investment option ka pata chalega jisse aap regular income to le hi paenge. Sath hi sath long term mein aap ki deposit ki hui rakam bhi grow karegi. Toh video miss mat karna.
Is video mein aap ko Fixed Deposit yaani FD aur recurring Deposit yaani RD ka difference pata chalega. Kaun si investment kis ke liye suitable hai wo bhi aap ko pata chalega.
Aaj hum baat karenge car insurance ke bare me isko kese kahridte hai, kaha se lete hai, kin cheezo ka dhyan rakhna hoga policy lete time taki pasie bhi na lage or claim ke time problem bhi na ho. Hello Everyone! Seekho ke Finance gyan show me swagat hai. Aaj hum car insurance policy ko live dekhenge, last me ek sabse jaruri safety tip bhi dunga jo aap just now bhi check kar sakte ho taki challan se bach sako.
Hi, main hoon Madhur, Welcome to Seekho Official Personal Finance Gyan Show ke naye episode me Aur aaj hum baat karenge ek aise option ke baare mein jo aapko bill pay karne ka naya tarika deta hai. Yes, I’m talking about Buy Now, Pay Later! Buy Now, Pay Later, ek aisa payment system hai jisme aap product ko turant le sakte hain, or uska payment aap baad mein kar sakte ho, ya phir instalments mein. Iske liye koi credit card ki jarurat nahi hoti. Koi credit score ki bhi nahi. Easily sabko mil jata hai.
Is video mein aap janenge 5 aise tarike yaani hacks jisse aap apni savings ko badha paenge. Kyo ki kai baar hum jane anjane jada paisa kharch kar dete hai aur hamein pata bhi nahi chal pata.
Hello doston! Aaj hum baat karenge GST ke baare mein, aur kaise ye salaried logon ki zindagi ko affect karta hai. GST kaafi business-related tax lagta hai, lekin yeh aapki daily life mein bhi kaafi important role play karta hai. Toh chaliye, samajhte hain ki aap GST se kaise benefit le sakte hain Welcome to Seekho Official Personal Finance Gyan Show GST, yaani Goods and Services Tax, ek single tax system hai jo har cheez par lagta hai—chahe wo goods ho ya services. Yeh ek value-added tax hai, matlab ki har stage par tax lagta hai, lekin har ek stage par aap us tax ko credit ke roop mein claim kar sakte hain. GST directly aapke salary par nahi lagta, lekin jo cheezen aap khareedte hain unpe GST ka impact hota hai.
Esa hota hoga bekar mae hi account me penalty laga dete hai, itte sare charges hote hai, cheque book or ite atm charges upar se annual fee. Ye sab to hai hi agar samjho kabhi apka account emergency me kaam karna band ho jaye kahi transaction apka bank support na kare tab kya kroge backup me koi bank bank account chiye? Hello Dosto! Aaj hum baat krenge Zero Balance accounts hack ke bare me or Ek free digital account bhi bataunga iske baad. Zero Balance Account ek aisa savings account hai jisme aapko minimum balance maintain karne ki koi zarurat nahi hoti. Matlab, aap apne account mein zero bhi balance chhod sakte hain, aur koi penalty ya charges nahi lagenge! Yeh accounts un logon ke liye perfect hain jo sirf basic banking facilities chahte hain bina kisi tension ke.
FD ek sab se safe aur guaranteed return wali investment scheme hoti hai. Aur kaisa hoga agar aap ko FD par hi acha rate of interest mil jayein? Puri jaankari ke liye video ko complete dekhein.
Hello doston! Aaj hum baat karenge ek aise topic par jo aapke liye bohot useful ho sakta hai, especially jab aapke phone mein internet na ho. Haan, main baat kar raha hoon Offline UPI Payments ke baare mein! Aapne UPI zaroor use karte hoge, lekin kabhi out of coverage area me aa gye or payment nahi ho raha tab aap bina internet ke bhi UPI se payment kar sakte hain? Welcome to Seekho Official show personal finance gyan! Aaj mai apko live emergency upi payment karna sikhaunga. Ek-ek step ke sath follow karte jaao.
Mutual Fund mein nivesh karna chahiye, ye to aap ko pata hai. Lekin kis type ki scheme mein nivesh karein, kitne time tak use chalayein aur kaise apne emotions ko manage karein? Aaj hum mutual fund sip k 7-5-3-1 rule k jariye in sabhi sawaloon ka jawab payenge.
Personal Finance Gyan Show ke is episode me bataya gaya hai ki kaise aap apne paise ko maange kr sakte hain jis se koi emergency aane par aapke paas funds available ho.
Credit Score ke bine, ache interest rate par loan milna ho jata hai mushkil. Ab credit score badhane ke liye kya kya karein? Ye tareeke jaane is series me
Salary Account aur Savings Account me kya difference hota hai? Jaane Personal Finance Gyan Show ke is episode mein.
Loan ke liye sabse zaroori hota hai CIBIL Score. Personal Finance Gyan show ke is episode me aap apna CIBIL Score free me kaise check kar skte hain ye bataya gaya hai.
Hum samjhayenge kya antar hai 'Rich' aur 'Wealthy' ke beech. Jaanein kaise dhana se aamir aur ameer hona alag hota hai aur kaise aap apne financial goals ko sahi disha mein le ja sakte hain. Aaiye, samjhein 'Rich Vs Wealthy' ke antar ko!
jaaniye kaun-kaun se online courses hain jo aapko finance field mein knowledge enhance karne mein madadgar ho sakte hain, aur vo bhi bilkul free mein. Explore karein kaunsi platforms hain jo high-quality financial education provide karte hain, aur kaise aap apne career ko boost kar sakte hain.
Jaaniye Biggest Bank Scam ke bare me is series me!! Kaunse Bank Ke sath hua , Kya steps liye sarkar ne uske baad aur kya hua iska parinaam sab janege is series me!!!
Kya aap bhi middle class trap se niaklna chahte ho?is series me dekhiye kin kin tariko se aap mahine ka minimum lakh rupee kama sakte hai or ye rat race se aage nikal sakte hai.puri series end tak dekhe.
Kya aap ko bhi car ya home loan chaiye to ye series puri dekhe isme bataya gaya hai ki instant loan kaha se milega or sabse kam interest rate wala loan kaise milega, loan ke kitne type hote hai ye sab jaankari is series mai di gayi hai..
Kya aap ko pata mutual pr aap ko tax bhi lagta hai? is series mai bataya hai efficient withdrawal planning ke sath aap apne lakho ki tax liability ko zero tak kaise leke ja skte hai. Efficient withdrawal kya hai jaaniye is series m..
Fat loss main supplements ek bada role play karte hai. lekin kuch supplements ke liye blood test jaruri hai aur kuch ke liye nahi. To janiye woh kaun se suppliments hai air kiske liye blood test jaruri hai.
Khali pet kuchh aise poshtik aur asani se pachne wale padarth khana accha hota hai jo shrir ko urja dene ke saath detoxification mein bhi madad karein. Yahan kuchh best options diye gaye hain: 1. Garam Pani (Neemboo ke Saath) Ek glass garam pani mein neemboo aur shahad milakar peena pachaane ki shakti badhata hai aur metabolism ko tez karta hai. 2. Bhige Huye Badam ya Mungfali 6-8 bhige huye badam ya mungfali din ki shuruaat ke liye best hain. Yeh protein aur healthy fats ka accha srot hain. 3. Tulsi ya Ajwain Pani Ek glass pani mein 4-5 tulsi ke patte ya ajwain ubalakar peena subah ke liye detoxifying hota hai. 4. Pakka Hua Papaya ya Seasonal Fruits Papaya subah khali pet khaana achha hota hai, kyunki yeh pachaane mein asan hai aur fiber aur antioxidants se bharpoor hai.
Aaj ke video mae jaane ke Glycemic Load kya hota hai. Woh Glycemic index se kitna alag aur useful hosakta hai janne ke liye video ko end tak dekhe.
Healthy snacks bahut jaruri hai weight loss main taaki cravings ko manage kiya ja sake. lekin kitn calorie kha rahe hai snacks ke through woh kaise calculate karna hai, aaj sikhte hai.
Aaj ke video mae jaane ki glycemic index kya hota hai. High GI foods kya hai, aur protein aur fibre ka role janne ke liye video ko end tak dekhe.
Roj kishmish (raisins) khane ke kai fayde hain, jo aapki sehat ke liye bahut labhdayak ho sakte hain. Yeh kuch mukhya fayde hain: 1. Energy Booster: Kishmish natural sugar (fructose aur glucose) ka accha source hai, jo turant energy provide karta hai. 2. Pachan sudharne ke liye: Isme dietary fiber hota hai, jo digestion ko sudharne mein madad karta hai aur kabz se chutkara dilata hai. 3. Khoon mein hemoglobin badhane ke liye: Kishmish mein iron aur copper hota hai, jo anemia (khun ki kami) ko dur karne mein madadgaar hai. 4. Haddiyon ko mazboot banata hai: Isme calcium aur boron hota hai, jo haddiyon ko mazbooti deta hai aur osteoporosis se bachata hai. 5. Immunity badhata hai: Kishmish mein antioxidants jaise polyphenols hote hain, jo sharir ki immunity ko strong banate hain aur infections se bachate hain. 6. Dil ki sehat ke liye: Kishmish cholesterol aur blood pressure ko control mein rakhne mein madad karta hai, jo heart health ke liye accha hai. 7. Twacha aur baalon ke liye: Kishmish mein vitamins aur minerals (jaise vitamin C aur selenium) hote hain, jo skin aur hair ke liye beneficial hote hain. 8. Vajan badhane ya kam karne ke liye: Agar aap vajan badhana chahte hain, toh kishmish ko high-calorie snack ke roop mein use kar sakte hain. Aur agar moderate quantity mein liya jaye, toh yeh metabolism ko sudharne mein madad karta hai. Kaise aur kitna consume karein: Roj 8-10 bhigi hui kishmish khaana
Weight loss journey main aise kaun se foods include karein jisse metabolism badh jaye aur pet bhi bhara rahe... Janiye aaj ke episode main
Aaj ke video mae jaane ki kya yoga useless hai? Kya Yoga karne ke liye flexibility chahiye, yoga ke benefitskyahai jaanne ke liye video ko end tak dekhe.
Weight Loss main protein bahut important component hai, nahi to weight loss ke saath muscle loss bhi hoga. Janiye kitna protein lena hai iska calculation kaise karein.
Vitamin B12 ki kami ke liye kuch gharelu upay: 1. Dairy products: Doodh, dahi, aur paneer ka sevan karein. 2. Fortified foods: B12 fortified cereals aur nutritional yeast ka upyog karein. 3. Probiotics: Ghar ke bane probiotics jaise dahi aur idli ka upyog karein. 4. Ayurvedic support: Ashwagandha aur triphala immune system ko majboot karte hain. 5. Supplementation: Agar avashyak ho, Ayurvedic doctor ke salaha se B12 supplements lein. Pure shakahari logon ke liye B12 ki kami ko pura karna mahatvapurn hai
Aaj ke episode me hum chalenge ek anokhe safar par aur jaanenge duniya ki pehli Car ke baar me aur kaise usne aaj ki modern cars ko banaya.
Aaj ke episode me hum jaanenge duniya ki Sabse Lambi Deewar ke baare me. Aur dekhenge iski kuch aisi anokhi cheezein jo aapke hosh udaa dengi.
Aaj ke episode me hum jaanenge India Pakistan Kargil Yuddh ki Kahani.
Aaj ke episode me hum ek mazedar aur khubsurat phenomena ke baare me jaanenge ki kyun Beaches Chamakte hain.
Aaj ke episode me hum jaanenge Babri Masjid Ram Mandir ki Kahani.
Aaj ke episode me hum jaanenge insaano ki banai hui sabse tez cheezein kya hain.
Aaj ke episode me hum jaanenge ek keede khaane wale paudhe ke baare me.
Aaj ka episode ek guide ki tarah hai ki agar aap ek girti lift me phas jayein to kaise bachein.
Aaj ke episode me hum jaanenge bharat ke ek anokhe Chuho ke Mandir - Rat Temple of India ke baare me.
Aaj ke episode me hum dekhenge ki Delhi, NCT of Delhi aur Delhi NCR kya hain or inme kya fark hai.
Exploding Teddy Bear in Gujarat wedding case- Ek Bar fir se Dohraya Gaya Odisha ka Patnagarh bombing case
Murder of Junko Furuta Case - Aaj Tak ka Sabse Brutal Rape or Muder Case.
Simran Dubey Murder Case, EK Aesa case Jo Filmi Style main Fake Death Dinkha Kar Real Murder Karte Hain ⚠️
"Manoj Babli ki love story ne Khap ke rules aur society ke against jaane ki himmat ki, lekin iska anjaam ek painful honor killing tha. Crime Diaries: The Honor Killing of Manoj & Babli me dekhiye ek aisi kahani jo aapko sochne par majboor kar degi.
Hasnain warekar family Murder case, Yah ghatna aaj tak ki bahut hi krur ghatnaon Mein Se Ek Hai Jahan per Ek Ghar Ka eklauta Beta Apne pure Parivar ko Maut Ki Nind Sula deta hai
Jabalpur Double Murder: Railway Employe. Yah hatyakand Hamen batata hai ki aajkal ke generation ka mind set Kaisa Hota ja raha hai, Jaise aapko Dhyan se sunna aur samajhna chahie
The Black Magic Serial Killer - Ahmad Suradji Aaj Tak ka Sabse Bhiyanak Case jaha Black Magic ki Aad main 42 Mahilao ko Khet me Dafan Kar diya Tha…
Brutal murder of Christine Silawan - ek aisa Brutal Rape aur mardar kes jise sunane aur samajhane ke baad insaan kee rooh kaamp jaatee hai. ye koi sadharan mardar case nahin, ye itna jyada Brutal hai jise Brutal Word bhi kam pad jae.
Sudhakar Reddy murder - ek film se inspaayar hokar ek aisee ghatana ko anjaam diya gaya jo vaastav mein yah bataata hai ki film ko dekhakar log kraim kaise karana hai ye seekhate hain.
Ek wife apne husband ka Sar Kat gas chulhe per pakati hai jo ki 2003 ka sabse Khatarnak brutal case Mana gaya tha. Shankar Sharma Murder Case (Nidhi)
Kya aap bhi job interviews mein English bolne se nervous feel karte hain? Chahe aapki padhai aur skills top ho, English ki wajah se confidence kam ho jata hai. Iss video mein hum batayenge ki English mein interview kaise dein, salary expectations kaise negotiate karein, aur kaise apni value ko confidently present karein. Jaanein practical tips jaise research karna, common questions ki practice, aur body language ko improve karna. Agar aap apne English interview skills ko enhance karna chahte hain, toh yeh video zarur dekhein!
Kya aap bhi soch rahe hain ki ghoomne se paise kaise kamaye? Iss video mein hum batayenge kuch aise tarike jo aapke travel passion ko profitable bana sakte hain! Dekhein kaise travel blogging aur vlogging se YouTube ads, sponsorship deals, affiliate marketing, photos bechna, aur local products resell karke aap apni income badha sakte hain. Learn karein creative content creation, top AI tools ka istemal, aur consistent efforts se kaise aap ek successful travel influencer ban sakte hain. Agar aap bhi apni travels ko monetize karna chahte hain, toh yeh video zarur dekhein!
AI ab sirf tech experts ke liye nahi, balki har kisi ke liye accessible hai! Iss video mein hum batayenge kaise aap bina coding ya heavy degree ke AI tools jaise ChatGPT, Jasper.ai, DALL·E, aur Synthesia.io ka istemal karke apni income badha sakte hain. Jaanein social media content writing, AI-generated art, chatbots, aur creative projects mein AI kaise madadgar sabit ho sakta hai. Agar aap bhi AI seekh kar apna career boost karna chahte hain, toh yeh video zarur dekhein!
Kya aap bhi interview mein salary expectations ke sawal se pareshan hain? Iss video mein hum batayenge kaise aap confidently aur strategically apni salary ki baat kar sakte hain. Jaanein kaise research karein, aur ek achhi range dekar negotiation ko open rakhein. Agar aap apni job interview skills ko enhance karna chahte hain aur apni value ko samajhkar salary negotiate karna seekhna chahte hain, toh yeh video zarur dekhein!
Kya aap bhi sochte hain ki flashy effects aur engaging videos kaise bante hain? Iss video mein hum batayenge kaise aap video editor ban kar lakhon kama sakte hain! Seekhein basic editing se le kar advanced techniques tak, free aur paid software ka istemal, practice projects, aur consistency ke saath apna portfolio build karna.
Kya aap bhi interview ke waqt nervous feel karte hain, chahe aapki padhai aur skills top ho? Iss video mein hum batayenge kaise aap apne job interview ki perfect tayyari kar sakte hain. Jaise exam ki tayari karte hain, waise hi interview ke liye company background research karein, documents ready rakhein, aur sahi kapde pehnein. Common questions ki practice karein aur confident walk ke saath interview room mein enter karein. Chahe offline ho ya online, humare tips se aap apne confidence ko boost kar sakte hain aur apni dream job pa sakte hain. Agar aap bhi apne interviews mein successful hona chahte hain, toh yeh video zarur dekhein!
Bohot mehengayi hai aur salary wahi ki wahi? 😓 Iss video mein hum discuss karenge kaise aap kuch special skills seekh kar 2025 tak high-paying jobs paa sakte hain. Jaise social media analyst, financial analysis, aur content development – yeh sab careers aaj ke youth ke liye golden opportunities hain. Dekhein kaise aap BA, B.Com, ya B.Tech ke baad in fields mein expertise hasil karke 10-20 lakh tak salary badha sakte hain.
Log kehte hain arts aur commerce ka koi scope nahi, sirf B.Tech se hi success milti hai. Lekin aaj hum aapko batayenge kaise degree se aage jaake bhi aap apne career ko build kar sakte hain. Susan Wojcicki jaise leaders ne BA se YouTube CEO banaya, Trishneet Arora ne bina proper degree ke bhi cyber security mein success hasil ki. Dekhein kaise mehnat, dedication aur skills se aap bhi apni zindagi mein kamyabi pa sakte hain. Agar aap bhi soch rahe hain ki degree ke alawa bhi raste hain, toh yeh video zarur dekhein!
Aaj kal job dhundhna bhi ek full-time job ban gaya hai! Subah uthte hi hiring messages, LinkedIn profiles scroll karte ho, par sahi job kaise dhoonde? Iss video mein hum batayenge top websites jaise Naukri.com, LinkedIn, aur Indeed.com, jo aapki job search ko aasaan bana sakti hain.
Kya aap bhi soch rahe hain ki traditional career paths se hatkar YouTuber banna kaise possible hai? Iss video mein hum batayenge step-by-step guide ki kaise apna YouTube channel shuru karein, kaunsa content banayein, aur kaise logon ko attract karein. Agar aap bhi apna YouTube journey shuru karna chahte hain aur seekhna chahte hain ki kaise banayein engaging content, toh yeh video zarur dekhein!
4 dost jo nikle the sair par ja pahuche ek aisi sadak par jaha tha ek mysterious loop jisme log jate to hai zinda magar aate hai vapas murda to akhir kya hai uss sadak ki reality janege iss story mein
EK Chudail jo Candies ka lalach dekr krti hai baccho ko gayab, aur is kahani me jo huva vo janne ke baad apke hosh ud jaenge
kya huva jab in do baccho ne khola 20 saal purana raaz, ek secret jise agar koi jaan jaata hai to vo zinda bach nahi pata hai. Janiye is story me
Is Jinn ki kahanni se aap samjhoge kyu jhooth nahi bolna chahiye kyuki kai baar vo bhaari pad jata hai.
Badla Lene Ka Aisa Pagalpan Jiske Chalte Chali gyi Khudki Jaan dekhiye aaj ka episode pura or jaaniye is horror kahani ke baare me.
Aaj ke episode me hum jaanege Ek viran kila Jisme hota tha Tantra Mantra ka Darawana Khel
Majdoor ke vesh mein aaya asli Masaan Jo Gaad deta hai Zameen mein Zinda Insaan
Haunted Tv ke Andar kaise Kaid ho jate hai log ?
Iss Video mai janenge Kota ke bhutiya hotel ka darawana sach.
Rajasthani Gaon ki aisi Family jo marne ke baad bhi le rahi hai sabki jaan
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar aap ne koi business kiya hai aur aapka business dub gaya hai and bahot loss huva hai loss recover nahi horaha hai aur running business me bhi loss ho raha hai and vo bhi recover nahi ho raha hai to aap konse remedies ko karke aapne loss ko recover kar sakte hai
Iss video me yaha bataya gaya hai ki yadi aap freelancing ka work kar rahe hai ya fir aap business kar rahe hai but aap naye naye clients ko attract nahi kar parahe hai to aap konsi remedies ko karke naye client ko attract kar skte hai or jyada se jyada client achieve kar krte hai
Iss video me yaha bataya gaya hai ki yadi aap koi corporate world me job kar rahe hai ya aur kahi bhi job kar rahe hai.. aapko vaha hike to mil jatti hai but aapki kadi mehnat ke baad bhi aapke job me promotion nahi mil patta hai to aap konse upaay ko karke aapni job me promotion kar sakte hai...
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar bahot jayada mehnat karne ke baad bhi aapki income increase nahi horahi hai or aap savings bhi nahi kar pa rahe hai to aap konse upaay ko karke aap aapni income increase kar sakte hai or uss mese kharch bhi kar sakte hai and saving bhi kar sakte hai...
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar aap financially stable nahi hai aap savings karne ki kosish karte hai per savings ho nahi paati hai paise kharch ho jatte hai aur hum investment karne ki kosish karte hai to sahi se invest nahi kar paate hai to hum konse upaay ko karke financial stable ho sakte hai
Iss video mai yaha bataya gaya hai ki agar aap bhi aapni life me bahot kuch hasil karna chahate hai lekin opportunity ki kami ke kaaran aap sab kuch hasil nahi kar parahe hai to aap konse upaay ko karke aapni life me nayi nayi opportunity ko la sakte hai
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar aapke bhi career me rukawate aarahi hai aapke bahot jayada mehnat karne k baad bhi aapko promotion, increments nahi mil rahe hai to aap konse upaay ko karke aapne career me aane vali rukawat ko dur kar sakte ho..
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar aapne bhi bahot saare interviews diye hai aap interview de deke thak chuke hai per aapka interview clear nahi ho raha hai to aap kaise aur konse upaay ko karke aapna interview amazing bana sakte hai aur clear kar sakte hai
Is video me yaha bataya gaya hai ki Agar aap bhi paisa bachana chahate hai aur paise bachane me ekdum asamarth hai aapse saving nahi ho patti hai to aap konse upaay ko karke aapni saving ko increase kar sakte hai.
Iss video me yaha bataya gaya hai ki agar aap bhi bahot jayada sochte ho ek cheez ko leke aapke dimag me 1000 sawal aate hai bahot overthinking karte ho to aapni overthinking ko control karne ke liye aap yeh upaay jarur kijiye...
Is Video me Hum baat karenge ZOHO company ke maalik ki aur kaise unhone itni badi company banayi
Is Video me hum baat karenge kaise credit card pe default badh raha hai aur aam nagrik isse bachne ke liye kya kar sakta hai
Is Video me hum baat karenge sarkar ki internship dene waali paid internship scheme ki
Is Video me hum baat karnege pichle mahine mehangai ke baare me aur sarkar aur aam nagrik kya kar sakte hain isse bachne ke liye
Is Video me hum baat karenge haal hi hue naami girami politician Baba Siddiqui ke murder ke baare me
Is Video me hum baat karenge kaise PhysicsWallah ne ek Youtube Channel bana ke aaj 20000 crore ka dhanda bana liya
Is Video me hum baat karenge haal hi me hue train accident ki aur inke kya karan hote hain aur kaise inhe kam kiya jaa sakta hai
Is Episode me hum baat karenge kaise OTP se scams india me badhte jaa rahe hain aur kya saavdhani baratni chahiye inse bachne ke liye
Is Video me hum baat karenge Bharat me Haal hi me Gujarat me bacchi ke saath hue rape ki aur rape ke peeche ki mentality ki aur kaise ye problem sahi ki jaa sakti hai
Is Video me hum baat karenge haal hi me hui Big boss me gadhe ko lekar controversy ke baare me aur kyun Bigg boss jaise serial India me itne popular hain
Guilt aur regret na sirf aapko aage badhne se rokte hain, balki mental aur physical health par bhi bura asar daal sakte hain. Sikhiye 3 powerful techniques jo aapki life ko transform kar sakti hain aur growth ko unlock kariye
Self-growth ke liye ye zaroori hai ki toxic logon se door raha jaye. Seekhiye 3 techniques jo aapko toxic logon se door rehne mein madad karengi
Stress and anxiety ka ek root cause hai comparison. Comparison se chhutkara paane aur apni khushi aur zindagi ka maza lene ke liye, yeh 3 techniques learn karein
Emotional Intelligence kaise seekhein? Logon se baat karne ka sahi tarika aur apni strength ko samajhne ka art seekhein. Apna Emotional Quotient (EQ) badhakar personal aur professional life mein safalta paaiye!
Healthy habits hi ek happy, successful aur fulfilling life ki foundation hai. Apni daily life mein in habits ko lane ke liye proven aur practical techniques ko follow karein jo aapki life ko positively transform karengi.
Agar aap apne problem-solving attitude ko develop kar lein aur apni visualisation ko improve kar lein, toh aapki creativity apne aap jagrit hone lagegi. Isse na sirf aapki sochne ki shakti badegi, balki har problem ka innovative solution dhoondhna bhi aasan ho jayega.
Extrovert hona ya effective communication skills ek aisi art hai jo aapko safalta ki udaan deti hai. Proven techniques seekhiye, apni baat ko confidently rakhna sikhiye, aur apni life ko aur behtar banaiye
Apne sapne pure karne ke liye, apne emotions ko samajhna zaroori hai. Aur bure emotions ko control karna aur bhi zaroori hai! Sikhiye proven techniques jo aapki life ko badalne mein madad karengi
Success ko achieve karne ke liye goal setting bahut zaroori hai. Goal setting se aap focused rehte hain aur apne sapno ko jaldi pura kar pate hain. Is video mein, aap seekhenge proven techniques jo aapke goals set karne aur unhe achieve karne mein madad karegi.
Financial Freedom ke liye chahiye Financial Discipline kaise layein, three important techniques |
Shav Le Jaate Samay Ram Naam Saty Kyu Bolate Hai
Bheem ne Kurukshetra yuddh mein Draupadi ke apmaan ka badla lete hue Dushasan ka vadh kiya aur uska lahu piya. Yeh uski pratigya ka sammaan tha. Yeh ghatna sirf badle ki nahi, balki dharma aur maryada ki jeet ka prateek ban gayi.
Hindu Dharm Mein Kyu Ki Jati Hai Peepal ki Puja Janiye iss video mai
Yudhishthir ka eklauta jhooth Mahabharat ke itihaas ka ek anokha pal tha. Guru Dronacharya ke vadh ke liye yeh chaturai apnayi gayi, jisme Yudhishthir ne "Ashwatthama mrit hai... par haathi" kaha. Yeh ghatna sach aur dharm ke asar aur jhooth ke bhari parinaamon ka paath deti hai.
Kyu Hota Hai Tulsi Ka Pujan Aur Kya Hai Tulsi ka Vishesh Mahatva Kyu Janiye iss video mai.
Shri Krishna ne Arjun ko Mahabharat ke liye kyun chuna? Arjun ke 7 vishesh gun-tez, sfoorti, bal, parakram, shighrata, vishadheenata, aur dhairya-ne unhe ananya bana diya. Yeh kahani dikhati hai kaise yeh gun jeevan mein safalta ki chaabi hain, jo har kisi ko prerna de sakte hain.
Karna ki kahani ek veer yoddha ki hai, jo mrityu ke baad bhi do baar zinda hue. Pehli baar maa Kunti ki ichha puri karne ke liye, aur doosri baar apne pitron ka tarpan karne ke liye. Yeh anokhi kahani tyag, dan, aur karamyogi jeevan ka prateek hai.
Shani Dev Par Sarso Ka Tel Kyu Chadaya Jata Hai janiye iss video.
Mahabharat ke yuddh mein sirf famous Chakravyuh hi nahi, balki 11 alag-alag vyuh ki rachna ki gayi thi. Yeh vyuh jaise Garud, Makar, aur Mandala strategy aur buddhi ka khel the. Yeh kahani hume sikhati hai ki har mushkil ko jeetne ke liye sahi yojna zaroori hoti hai.
Akhir Kyu Hote Hai Mala Jaap 108 Daane janiye iss video mai.
Naval Dockyard me Job Announce hui hai, is episode me hum complete details dekhenge. Educational Qualification, selection process, How to Apply
10th Pass ke liye Job vacancy announce hui hai. Freshers ke liye is episode me complete details dekhenge jaise dates, qualification, selection process, apply kese karna hai
Reliance me JOB announce hui hai, Direct Interview hai is episode me apko saari details mil jaegi. Educational Qualification se leke Se Applying process tak.
Ye vacancies me Apply karlo isse pehle ki Forms close ho jaye, is episode me apko educational qualification, eligibility, post, salary and saari details mil jaegi
INDIAN COAST GUARD me JOB Vacancy Announce hui hai, Salary, Qualification and Important Details is Episode me Discuss Karenge
ICFRE-IWST ki Taraf se Job Vacancy Announce hui hai, jaha 10th, 12th, Graduate Eligible hai. Complete Details is video me hum dekhenge
10th PASS ke liye Latest Job Vacancy Announce hui hai, Educational Qualification, Selection Process, How to Apply Complete details is Episode me dekhenge
BEL me Recruitment Announce hui hai, jaha Freshers Eligible hai. Educational Qualification, age limit and complete details is video me discuss krenge
Border Road Organisation me Latest Job Vacancy freshers ke liye announce hui hai, complete details is video me discuss karenge
Railway me 1700+ Jobs Announce hui hai is apisode me complete details dekhenge jese qualification, selection process, apply kese karna hai
Arhar ki kiphayati kheti jaane, variety selection, khet banana, spray-fertigation, water management, production, profit-loss calculation etc.
Tarbuj fasal ko shuru se aakhri tak manage karne ke naye tarike, spray fertigation, varieties, sinchai prabandhan, profit-loss calculation etc.
Phool Gobhi ki adhunik kheti karne ke aasan tarike aur shuru se aakhri tak ka pura management, unnat kisme, khet bnana, khad-davai, sinchai prabandhan aur profit-loss ka satik calulation.
Tamatar ki kheti karne ke aasaan tareeke. Janiye beej chune se lekar mitti aur paani ki sahi dekhbhal tak sab kuch ek achhi fasal ke liye!
Crop trimmer ka sahi use karke utpadan kaise badhayein? Janiye is innovative tool ke fayde aur kheti ki efficiency ko boost karne ke tareeke. Perfect for modern farmers!
Is episode mein jaaniye, mitti ki quality kaise sudhaarein, sahi fertilizers ka upyog kaise karein aur apne khet ko zyada productive banayein!
Is episode mein jaaniye, konsi fasal se jyada earning ho sakti hai aur farming experts ke profitable tips ke saath apna fayda badhayein!
Is episode mein jaaniye pyaj ki kheti ke sahi tareeke, beej chunne se lekar ropne tak ki puri prakriya, aur fasal ke acchi upaj ke liye zaruri tips.
Chaliye jaante hai ki har salesman mahina ka 1 Lakh Rupee kaise kama sakta hai? Ajke video me aisi kuch tarkeebe hum dekhenge jo agar aap bhi apnaenge apni sales journey me, toh aap bhi badi hi aasaani se mahine ka 1 Lakh kama sakte ho.
Ajke video me dekhte hai ki kisi bhi product ko double price pe kaise beche? Iss video ko anth tak dekhe aur apne sales ko double karke profit kaise badha sakte hai iski ek majedaar trick janiye!
Aajke video me hum 3 aise psychological tricks janenge jo aap istemaal kar ke apne sales aur apne profit ko double kar sakte ho. FOMO - Fear of Missing Out jaise psychological tareeke jo bade luxury brands istemaal karte hai vo sikhein aur apne sales journey ko behtar kare.
Ajke video me hum ye jaanenge ki ek structured sales plan kaise banaye aur 3 lakh ka business kaise kare. Iss video ko anth tak dekhe aur jaane step-by-step process jiska istemal karke aap apne liye ek structured sales plan bana sakte hai
Kaise objections ko handle karke unhe sales opportunities me convert karein? Janiye effective strategies aur tips jo trust build karen aur aapki sales skills ko next level par le jaayein!
Janiye kaise giving mindset se trust build hota hai aur sales badhti hain. Practical tips aur strategies ke saath, perfect for entrepreneurs!
Kya digital tools ka use karke sales badhayi ja sakti hai? Jaaniye is video mein.
Real-life examples aur marketing strategies ke saath jaaniye kaise negativity ko opportunity mein convert karte hain. Marketers aur curious minds ke liye must-watch!
Is episode mein jaaniye kaise psychology aur emotions ka istemal karke aap customers ko samajh sakte hain aur apni sales mein kamaal kar sakte hain!
Sales career shuru karna hai? Is episode mein jaaniye sales ki basic skills, mindset, aur effective techniques jo aapki journey ko successful banane mein madad karengi. Shuru karein apna sales safar!
Moong daal namkeen ek crispy aur swadisht snack hai jo moong daal, namak aur tel ke saath banaya jata hai. Yeh namkeen apne crunchy texture aur chatpate swad ke liye prasiddh hai aur chai ya coffee ke saath parosa jata hai.
Pav Bhaji... is a fast food dish from India its origins are in the state of Maharashtra. its a thick mix vegetable with butter and served with soft bread called Pav......
Tomato ketchup ek tamatar se banne wala simple aur tasty sauce hai jo ke puri duniya ka sabse jyada use kiya jane wala sauce hai
Manchurian ek chinese dish hai jo ke veggies ya meat ke balls ko fry kar ke use chinese stir fry style gravy mai dal kar banaya jata hai ye china ke saath saath India mai bhi bahut popular hai .
Aalu bhujiya namkeen aalu aur besan mai kai sare Indian masale dal kar banne wali namkeen hai jo ke bhot hi tasty aur popular namkeen hai
Tadka potato balls korea ki ek bhot hi tasty dish korean potato balls se inspired hai jisme aalu aur corn starch ki balls mai chilli aur garlic ka tadka lagate hai .
Restaurant-style kofta gravy is a rich and creamy dish made with soft, melt-in-mouth koftas soaked in a luscious tomato and cashew-based gravy. Flavored with aromatic spices, it pairs perfectly with naan or rice. Ye royal dish ghar pe banana ab easy hai—impress your guests with this indulgent treat!
Vada pav ek Maharashtra ki popular dish hai jisme aalu aur besan ka crispy vada ek indian bread “Pav” aur chutney ke saath khaya jata hai .
Red sauce pasta ek popular Italian dish hai jisme pasta ko tamatar ke sauce , oil, vegetables aur masalon ke saath pakaya jata hai ye India mai bhi utna hi popular hai jitna italy mai .
Schezwan chutney ek bold aur spicy condiment hai jo Chinese aur Indian flavors ka perfect blend hai. Ismein garlic, red chilies aur tangy sauces ka tadka hota hai, jo noodles, fried rice ya snacks ke saath ekdum perfect jata hai. Iski ek chutki har dish ko chatpata banati hai!
Ajke video me hum jaanenge kuch aisi common galtiya jo har car owner karta hai! Iss video ko zarur dikhein aur sikhein ki aise konsi galtiya hai jo aako avoid karni chahiye taaki aapki car hamesha acchi rahe aur lambe samay tak chale.
Is episode mein jaaniye car kharidne se pehle kin cheezon ka dhyan rakhein. Budget, features, safety ratings aur maintenance tips ke saath apne decision ko smarter banaiye!
Iss episode mein samajhiye GNCAP Rating kya hoti hai aur yeh gaadi ki safety ke liye kyun zaruri hai. Safer cars choose karne ka sahi tareeka seekhiye!
Is episode mein jaaniye EV ki battery life badhane ke best tips. Smart charging, maintenance, aur driving habits se apni electric vehicle ko zyada durable aur efficient kaise banaye!
Electric aur petrol car ke beech kaunsa option best hai? Is episode me hum compare karenge dono ke pros, cons, mileage, cost aur environment impact ko simple hinglish me!